Navratri kyu manate hai

Navratri aur Dashera kyu manate hai :-

Navratri ka tyohaar hindu ka pavitra tyohaar mana jata hai .Kaha jaata hai ki mahishasur naam ka ek rakshas tha jo pure brahmand me aatank faila kar rakha tha .
Brahma ji ka usko vardan mila tha ki koi use maar nahi sakta tha .Jiske karan samagra devi devta usse bhaybhit the .Sabhi devi devta ke aagrah se tino mahadevo ne milkar ek shakti ki utpatti ki jo maha shakti Naudurga ke roop me jani jati hai .Mata shakti aur Mahishasur ke bich me 10 dino tak bhayankar yudh chala tha dasve din mata shakti ko mahishasur par vijay prapti huyi .Usdin se navratri ka tyohar aur vijayadashami manayi jane Lagi.

       Dusre Katha ke anusaar bhagvan shri Ram ne Ravan ka vadh kiya tha jo asatya pr satya ki vijay prapti kahlati hai Jise aaj dusshera ke roop me manayi jati  hai

navratri me garba ka mahotshaw :-

 navratri garba
            navratri  ka tyohar hindu dharma me aur usme  Gujarat me  bahut hi dhoom dham se manaya jane wala tyohar hai , navratri ke liye kai din pahle se log iski tayari me lag jate hai , Navratri me Mata ka khus karne ke liye Garba ka mahotshaw manaya jata hai , jiske liye log tarah tarah ke naye kapde pahante hai , Mataye aur bahne Chaniya choli pahan kar dandiya khelti hai ,

Garba:-  

        garba yah gujarat ka paramparik  lok ntiya hai jise saubhagya ka pratik mana jata hai ,hindu dharma ki manyata ke anusar nauratri ke  nav din Garba khel kar bhaktjan Mata  durga ko prasann karne ki kosis karte hai aur apne liye manchahe fal ki kamna karte  hai.

MITTI KE GHADE KI STHAPANA:- 

                        nav ratri ke shaam ko dandiya nirtya ke jariye durga mata ki pooja ki jate hai jisme chhed yukt mitti ke ghade jise "GARBO" kahte hai  ,ki sthapana ki jati hai uske bad usme Dipak jalaya jata hai , yah deep Gyan ki rosni ka pratik mana jata,


Image result for navratri kyu manate hai

https://amzn.to/32nPYg8